DIL Behel jaye to log chor dete hain Koi aur mil jaye to log chor dete hain Chaar Din ki chandni ka kya karna Chandni Dhal jaye to log chor dete hain Kasam to khate hain sada sath jeene ki Zehn badal jaye to log chor Dete hain Aaj kal k logon ka Bharosa kya karna Mausam Badal jaye to log Chor dete hain
SUNA HOGA BOHAT TUM NE
SUNA HOGA BOHAT TUM NE kaheen aankhon ki rimjhim ka kaheen palkon ki shabnam ka kaheen lahje ki barish ka kaheen saaghar k aansu ka magar tumne….. kabi humdam… kaheen dekha…? kaheen parkha..? kisi tahreer k aansu…? mujhe teri judai ne yahi meraaj bakhshi hai k me jo lafiz likhta hon wo saare lafiz rote hein maire sang is judai mein maire alfaaz marte hein meri tahreer ki lakin kabi koi nahi sunta maire alfaaz ki siski falak bi jo hila daale maire lafzon mein hain shamil isy taaseer k aansu kabi dekho maire humdam meri tahreer k aansu…
Mere Wajood Ki Mujh Mein Talash Chor Gaya
Mere Wajood Ki Mujh Mein Talash Chor Gaya Jo Pori Na Ho Kabhi Aisi Aaas Chor Gaya Yehi Karam Nawazi US Ki Mujh Pe Kam Hai Kia Ka Khud To Door Hai Yadein To Pas Chor Gaya Jo Khawhishen Thi Kabhi Hasraton Mein Dhal Gayi Ab Mere Laboon Pe Wo Eik Lafz Kash Chor Gaya Ye Mera Zarf Hai Ik Roz US Ne Mujh Se Kaha Ka Aam Logon Mein Eik Tujh Ko Khas Chor Gaya Baharon Se Mujhy Isi Liye To Nafrat Hai Inhi Ruton Mein Mujhe WO Udass Chor Gaya
ਅਪਣੇ ਸੰਗ ਰਲਾਈਂ ਪਿਆਰੇ, ਅਪਣੇ ਸੰਗ ਰਲਾਈਂ ।
ਅਪਣੇ ਸੰਗ ਰਲਾਈਂ ਪਿਆਰੇ, ਅਪਣੇ ਸੰਗ ਰਲਾਈਂ । ਪਹਿਲੋਂ ਨੇਹੁੰ ਲਗਾਇਆ ਸੀ ਤੈਂ ਆਪੇ ਚਾਈਂ ਚਾਈਂ । ਮੈਂ ਲਾਇਆ ਏ ਕਿ ਤੁੱਧ ਲਾਇਆ ਏ ਆਪਣੀ ਓੜ ਨਿਭਾਈਂ । ਰਾਹ ਪਵਾਂ ਤਾਂ ਧਾੜੇ ਬੇਲੇ, ਜੰਗਲ ਲੱਖ ਬਲਾਈਂ । ਭੌਕਣ ਚੀਤੇ ਤੇ ਚਿਤਮੁਚਿੱਤੇ ਭੌਕਣ ਕਰਨ ਅਦਾਈਂ । ਪਾਰ ਤੇਰੇ ਜਗਤ ਤਰ ਚੜ੍ਹਿਆ ਕੰਢੇ ਲੱਖ ਬਲਾਈਂ । ਹੌਲ ਦਿਲੇ ਦਾ ਥਰ ਥਰ ਕੰਬਦਾ ਬੇੜਾ ਪਾਰ ਲੰਘਾਈਂ । ਕਰ ਲਈ ਬੰਦਗੀ ਰੱਬ ਸੱਚੇ ਦੀ ਪਵਣ ਕਬੂਲ ਦੁਆਈਂ । ਬੁੱਲ੍ਹੇ ਸ਼ਾਹ ਤੇ ਸ਼ਾਹਾਂ ਦਾ ਮੁੱਖੜਾ ਘੁੰਘਟ ਖੋਲ੍ਹ ਵਿਖਾਈਂ । ਅਪਣੇ ਸੰਗ ਰਲਾਈਂ ਪਿਆਰੇ, ਅਪਣੇ ਸੰਗ ਰਲਾਈਂ ।
Main dil sey baatain karta tha…
Main dil sey baatain karta tha… Dil mujh sey baatain karta tha… Main us ki sunta rehta tha… Wo meri sunta rehta tha… Hum dono apni baatain kartay thay… Aur ek doojay ki baaton par… Hum dheerey sey hanstay rehtay thay… Main dil ka dost hi acha tha… Dil mera dost hi acha tha… Wo merey dard ko sehta tha… Main us kay dard ko sehta tha… Phir dil nay aik chaal chali… Wo tumhari raah par chal nikla… Ab main bhe tanha rehta hon… Aur dil bhi tanha rehta hai…
Nazar sey nazar tum milanay sey pehlay…
Nazar sey nazar tum milanay sey pehlay… Zara soch lo dil laganay sey pehlay… Zara us kay dil main bhi tum jhank lena… Usey raaz dil ka batanay sey pehlay… Main yeh janta ho0n meri zindagi main… Koi gham na terey aanay sey pehlay… Bohat roya ho ga wo apni khata par… Saza mujh ko gham ki sunanay sey pehlay… Khud ro0th jata hai yeh soch lena… Kisi dil ko itna dukhanay sey pehlay… Kahin jal na jao khud is aag main tum… Kisi aur ka dil jalanay sey pehlay…
Bus aik cho0ti si han kar do…
Bus aik cho0ti si han kar do… Hamaray naam is tarhan sara jahan kar do… Wo mohabbatain jo tumharay dil main hain… Un ko zuban par lao aur bayan kar do… Aj bus ap kaho aur kehtay hi jao… Hum bus sunain aise be-zuban kar do… Hoi purani dastan heer ranjha ki… Tarikh mohabbat ki phir sey jawan kar do… Aa jaa kay aisa to0t kar chahun tumhain… Apnay dil main is tarhan chupa lo mujh ko… Raho0n is main hamesha kay liay… Aisa mera koi makan kar do…
