Na Bazm Apni, Na Saqi Apna, Na Sheesha Apna, Na Jam Apna
Agar Yehi Hai Nizami Hasti Tu Ghalib Zindagi Ko Salam Apna
Mohabbat Me MuSafat ki Nazakat Maar Deti Hy,
Yahan Pr Aik sa’at ki Himaqat Maar deti Hy,
Ghalat Hy Ye Guman Tera koi Tujh Pr Fida Ho ga,
Kisi Pr kon Marta Hy Zrorat Maar deti Hy,
ME Haq Pr Hon Mgar Meri Gawahi kon deta Hy,
K dunia ki Adalat Me SadaQat Maar deti Hy,
Sar-e-Mehfil jo bolon to zamany ko khatakta hon !
Rahon Me chup to Andr ki baghawat Maar deti hy,
Kisi ki be-Niyazi Pr zamana jaan deta hy,
Kisi ko chahy jany ki ye Hasrat maar deti hy,
Zamany se ulajhna Bhi nahi Acha Mgar hmdm
Yahan Had se Ziada Bhi sharafat Maar deti hy.,,,
Wo Misl-e-khuwab hi rehta to kitna acha tha,
Wo mery sath hi rehta to kitna acha tha.
Subhein haseen to shaamein b khushgawaar hotein,
Wo mery shehr mein hota to kitna acha tha.
Hawa k dosh pe pheli hoi thi uski mehak,
Hawa ka rukh na badalta to kitna acha tha.
Main zindagi k masaayel se lar bhi sakta tha,
Wo hosla mujhy deyta to kitna acha tha.
Na ab milengy na baatain
na phir mulaqaatain,
Wo yehi baat na kehta to kitna acha tha….!!!
Usey Kehna K Palkon Pe Na Taane Khwab Ki Chaadar..
Samundar K Kinare Ghar Bana Kar Kuch Nhi Milta..
Faqat Tum Hi Se Karta Hoon Me Saari Raaz Ki Baaten..
Har Aik Ko Daastan-E-Dil Suna Kar Kuch Nhi Milta…
Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai..
Kisi K Hijar Mein Neenden Ganwa Kar Kuch Nhi Milta..
Jigar Ho Jaaye Ga Chalni Ye Aankhen Khoon Royen Gi…
“WASi”
Be-Faiz Logon Se Nibha Kar muhobat ‘Kuch Nhi Milta.
Younhi Udas Hai Dil Beqarar Thori Hai…..
Mujhe Kisi Ka Kohi Intazar Thori hai,,,,,
Nazar Mila ke Bhi Tum Se Gila Karon Kaise…..
Tumhare Dil Pe Mera Ikhtiyar Thori Hai,,,,,
Mujhe Bhi Neend Na Aaye Tumhein Bhi Chain Na Ho…..
Humare Beech Bhala ItNa Piyar Thori Hai,,,,,
Khizaan Hi Dhondti Rehti Hai Dar-B-Dar Mujh ko…..
Meri Talash Main Pagal Bahaar Thori Hai,,,,,
Na Jane Kon Yahan dost Bana Ke chor Jaye…..
“WASI”
Yahan Kisi Ka Kohi Ae’tebaar Thori hai . . .
DIL Behel jaye to log chor dete hain
Koi aur mil jaye to log chor dete hain
Chaar Din ki chandni ka kya karna
Chandni Dhal jaye to log chor dete hain
Kasam to khate hain sada sath jeene ki
Zehn badal jaye to log chor Dete hain
Aaj kal k logon ka Bharosa kya karna
Mausam Badal jaye to log Chor dete hain
\”\”Kaho Woh ChanD Kaisa Tha….???
Kaho Woh Dusht Kaisa Tha??
Jidher Sub Kuch Lutaa Aey
Jidher Aankhain Ganwaa Aey
Kaha, SelaaB Jaisa Tha,
Buhat Chaha k Buch Niklain Mager Sub Kuch Baha Aey
Kaho, Woh Hijr Kaisa Tha??
Kabhi Choo Ker Issay DaikhA
Tou Tum Nay Kiya Bhalaa Paya
Kaha, Bus AaG Jaisa Tha,
Ussay Choo Ker Tou Apni Rooh Ye Tann Mann Jala AeY
Kaho , Woh Wasal Kaisa Tha??
Tumhay Jub Choo Liya Is Nay
Tou Kiya Ahsaas Jaga ThA?
Kaha, Ik Rastay Jaisa
Jidher Say Bus Guzarna Tha,Makaa’n Lakin Bana Aey
Kaho, Woh Chand KaisA Tha??
Falak Say Jo Uter AAya!
Tumhari Aankh May Basnay
Kaha, Woh Khwab Jaisa Tha
Nahi Tabeer Thi Jis Ki, Ussay Ik Shub Sula AeY
Kaho Woh IshQ Kaisa Tha??
Bina Sochy Bina Samjhy
Bina Purkhay Kiya Tum Nay
Kaha, Titli K Rung Jaisa
Buhat Kacha Anokha Sa, Jabhi Usko Bhula Aey
Kaho Woh Naam Kaisa Tha??
Jissay SahraOon Aur Chanchal
Hawaon Per Likha Tum Nay
kaha, Bus MusamOon Jaisa,
Na Janay Kis Trha Kis Pal Kisi Row Main Mita Aey…
Shikway B Hazaron Thay or Gilay B Hazaron Thay..
.
Hum To Usi K Thay Magr Ek Wo Na Humary Thay..
.
Kaha Hum Ne K Kisi or K Hone Lagay Ho Tum..
.
Muskratay Huwe Bolay K Pehle Kab Tumharay Thay..
.
Zindagi K Morh Pe Tanha Chor Gaya Hai Wo Mujhey..
.
Koi Ja Kar Kahay K Hum Jeety Hi Usi K Sahary Thay..
.
Ye Pal Hain Bure Mujh Pe Koi Baat Nahi..
.
Kuch Pal To Un K Sath Achay Bhi Guzaray Thay.