تو میرا وقت کھا گیا سارہ میرا تجھ سے حساب بنتا ہے
Jise ehsaas kehte hain
Jise ehsaas kehte hain wohi toh pyaar hota hai tumhara dil jo dukhta hai humein bhi dard hota hai hamari aankh ka aansoo tumhein bechain rakhta hai hamare dard ka darmaa tumhara lams hota hai tumhare lams ka jaadu humein bhi shaad rakhta hai tumhein milti hain jab khushyaan hamare lab bhi hanste hain tumhein darpesh ho masla dua ko haath uthte hain khuda ko yaad karte hain tumhein abaad rakhe woh hmaesha shaad rakhe woh hamaare saath rakhe woh…