Hasti ka aitbar kiay baghair raha na jay

Hasti ka aitbar kiay baghair raha na jay… Dunia hai yahan par jiye bin raha na jay… Katti nhe yeh zindagi umeed kay baghair… Yeh jaam wo hai jis ko piay bin raha na jay… Chahat ka zakham dil ko tamasha na bana day… Aisa hai chaak jis ko siye bin raha na jay…

Kabhi bay simat rusto0n par chaltay hain…

Kabhi bay simat rusto0n par chaltay hain… Dikhai day koi manzil chalo aik bar chaltay hain… Yahan thum sa gaya hai waqt howa kia hai khuda janay… Jahan gardish main ho dunia chalo ik bar chaltay hain… Youn hi daaman bechaye intizar-e-gham main kia rehna… Kahain bay chain lamho0n main chalo aik sath chaltay hain… Badal kar daikh letay hain hum apni zeest ka mousam… Jahan mousam badaltay hon chalo aik bar chaltay hain…

Rukhta bhi nhi theek sey chalta bhi nhi hai…

Rukhta bhi nhi theek sey chalta bhi nhi hai… Ye dil kay terey baad sambhalta bhi nhi hai… Yeh shehar kisi aina kirdaar badan par… Ilzam lagate howay darta bhi nhi hai… Ik umar sey hum is ki tamana main hain be-khawab… Wo chand jo aangan main utarta bhi nhi hai… Phir dil main teri yaad kay manzar hain firozaan… Aisey main koi deakhnay wala bhi nhi hai…

Tumhein shayad ye lagta hai..

Tumhein shayad ye lagta hai.. M0habbt khubsurat ha.. Tmhara ghar sanwary gi.. Tmhain yunhi naikharay gi.. Tmhain apna bana lay gi.. Tmhain shayd ye lgta ha.. Tmhein dukh se nikalay gi.. Tmhary dard smjhegi.. Tmhare gham sambhaly gi.. Mjhe maloom ha itna.. Mohabbat shab ki surat ha.. Ujalon ko ye kha lay gi.. Tmhe tm se chura le gi.. Tmhe pagal bna de gi.. Mohabbt maar deti ha.. Mohabbat maar dale gi…

Jise ehsaas kehte hain

Jise ehsaas kehte hain wohi toh pyaar hota hai tumhara dil jo dukhta hai humein bhi dard hota hai hamari aankh ka aansoo tumhein bechain rakhta hai hamare dard ka darmaa tumhara lams hota hai tumhare lams ka jaadu humein bhi shaad rakhta hai tumhein milti hain jab khushyaan hamare lab bhi hanste hain tumhein darpesh ho masla dua ko haath uthte hain khuda ko yaad karte hain tumhein abaad rakhe woh hmaesha shaad rakhe woh hamaare saath rakhe woh…

Toot kar zara dekho,

toot kar zara dekho, tum agar bikhar jao, bay basi may ghir jao, dil say ik sada dena, bus mujay bula lena, may tumhe sumbha longa, zindagi may chalnay ka, rasta badalnay ka, ik hunar sikha donga, tumko hosla donga, or jab, sambhal jao, roshni may dhal jao, mujko yun sila dena, tum mujay bhula dena…

Suno Jana Judai Maut Hoti Hai!

Suno Jana Judai Maut Hoti Hai! kabhi fursat mile tu daikhna patton ka girna tum, k jab yeh shajar se gir k zameen par aan partey hain tu kaise raunde jate hain. thirthrati raat k khamosh lamhon mein, kisi bebas akeli bawafa khamosh ladki ki kabi tum siskian sunna, kabi qitaar se bichri hui koonjon k noohe par nigah karna, k kaise aik dooje ki judai par tarap kar bain karte hain, kabi rukhsat k lamhon mein kisi ki ankh se larkhartey huwey ansoo ko daikho gi, tu shaid jaan jao gi, judai maut hoti hai, Abi tum ne muhabbat […]

Ik Din younhi baithay baithay

Ik Din younhi baithay baithay Uss ne mujh se pooch liya tha \”Tum ne KISI se Pyar kia hai\” \”Ulfat ka Izhaar kia hai\” Lekin main Khamoosh raha tha Wo khud bhi shurmaii thi thoora sa Ghabraii thi MAIN ne soocha Barsoon pehlay,Jitnay Sapnay dekhay thay Un sapnoon ko Tabeeron se Humahung kar denay ka Aik yahi to Lamha hai………. Lekin phir yeh soocha main ne Janay is k DIL mein kya hoo??? Janay mujh ko samjhti kya ho?? Mujbooori thi Warna main ne AIK USSI SE PYAR KIA HAI…

Bay-hunar zamaanay may…

Bay-hunar zamaanay may… Raaeygaa’n safar apna… Khauf k bayabaa’n may… soojhhta kuch bhi nahee’n… Bad-gumaani palti hay… Saaeybaa’n hi jab apna… Munharif ho chhaao’n say… Justujoo parraao ki… Bay-samar si lagti hay… Bay hunar zamaanay may… Raaeygaa’n safar apna…

SirF AiK LarKi….

SirF AiK LarKi…. Apnay Sard Kamray Main Main Udaas Bethi Hoon Neem-Wa-Dareechon Say Num Hawaein Aati Hain Merey Jism Ko Chhuu Kar Aag See Lagati Hain Tera Naam Ley Ley Kar Mujhko Gudgudati Hain Kaash Merey Parr Hotay Terey Paass Urr Aati Kaash Main Hawaa Hoti Tujh Ko Chhuu Kay Laut Aaati Main Nahi Magar Kuch Bhi…!! Sung Dil Rawajon Kay Aahni Hisaron Main Umarr Qaid Ki Mulzim Sirf Aik Larki Hoon…