SUNA HOGA BOHAT TUM NE

SUNA HOGA BOHAT TUM NE kaheen aankhon ki rimjhim ka kaheen palkon ki shabnam ka kaheen lahje ki barish ka kaheen saaghar k aansu ka magar tumne….. kabi humdam… kaheen dekha…? kaheen parkha..? kisi tahreer k aansu…? mujhe teri judai ne yahi meraaj bakhshi hai k me jo lafiz likhta hon wo saare lafiz rote hein maire sang is judai mein maire alfaaz marte hein meri tahreer ki lakin kabi koi nahi sunta maire alfaaz ki siski falak bi jo hila daale maire lafzon mein hain shamil isy taaseer k aansu kabi dekho maire humdam meri tahreer k aansu…

Mere Wajood Ki Mujh Mein Talash Chor Gaya

Mere Wajood Ki Mujh Mein Talash Chor Gaya Jo Pori Na Ho Kabhi Aisi Aaas Chor Gaya Yehi Karam Nawazi US Ki Mujh Pe Kam Hai Kia Ka Khud To Door Hai Yadein To Pas Chor Gaya Jo Khawhishen Thi Kabhi Hasraton Mein Dhal Gayi Ab Mere Laboon Pe Wo Eik Lafz Kash Chor Gaya Ye Mera Zarf Hai Ik Roz US Ne Mujh Se Kaha Ka Aam Logon Mein Eik Tujh Ko Khas Chor Gaya Baharon Se Mujhy Isi Liye To Nafrat Hai Inhi Ruton Mein Mujhe WO Udass Chor Gaya

Jugnu koi sitaaron ki mehfil main kho gaya…

Jugnu koi sitaaron ki mehfil main kho gaya… Itna na kar malaal jo hona tha wo ho gaya… Parward-e-gaar to janta hai diloon ka haal… Main ji na paoon ga jo usey kuch bhi ho gaya… Ab us ko deakh kar nhi dharkay ga mera dil… Kahan ka mujh ko yeh bhi sabaq yaad ho gaya… Baadal utha tha sab ko rulaanay kay waastay… Aanchal bhi kho gaya kahin daaman bhi khoo gaya… Aik larki aik larkay kay kandhay par so gayi… Main ujli dundi yaadon k kahray main kho gaya…

ਅਪਣੇ ਸੰਗ ਰਲਾਈਂ ਪਿਆਰੇ, ਅਪਣੇ ਸੰਗ ਰਲਾਈਂ ।

ਅਪਣੇ ਸੰਗ ਰਲਾਈਂ ਪਿਆਰੇ, ਅਪਣੇ ਸੰਗ ਰਲਾਈਂ । ਪਹਿਲੋਂ ਨੇਹੁੰ ਲਗਾਇਆ ਸੀ ਤੈਂ ਆਪੇ ਚਾਈਂ ਚਾਈਂ । ਮੈਂ ਲਾਇਆ ਏ ਕਿ ਤੁੱਧ ਲਾਇਆ ਏ ਆਪਣੀ ਓੜ ਨਿਭਾਈਂ । ਰਾਹ ਪਵਾਂ ਤਾਂ ਧਾੜੇ ਬੇਲੇ, ਜੰਗਲ ਲੱਖ ਬਲਾਈਂ । ਭੌਕਣ ਚੀਤੇ ਤੇ ਚਿਤਮੁਚਿੱਤੇ ਭੌਕਣ ਕਰਨ ਅਦਾਈਂ । ਪਾਰ ਤੇਰੇ ਜਗਤ ਤਰ ਚੜ੍ਹਿਆ ਕੰਢੇ ਲੱਖ ਬਲਾਈਂ । ਹੌਲ ਦਿਲੇ ਦਾ ਥਰ ਥਰ ਕੰਬਦਾ ਬੇੜਾ ਪਾਰ ਲੰਘਾਈਂ । ਕਰ ਲਈ ਬੰਦਗੀ ਰੱਬ ਸੱਚੇ ਦੀ ਪਵਣ ਕਬੂਲ ਦੁਆਈਂ । ਬੁੱਲ੍ਹੇ ਸ਼ਾਹ ਤੇ ਸ਼ਾਹਾਂ ਦਾ ਮੁੱਖੜਾ ਘੁੰਘਟ ਖੋਲ੍ਹ ਵਿਖਾਈਂ । ਅਪਣੇ ਸੰਗ ਰਲਾਈਂ ਪਿਆਰੇ, ਅਪਣੇ ਸੰਗ ਰਲਾਈਂ ।

Mera maqsad bithana tha

Mera maqsad bithana tha usey janay ki jaldi thei… Mujhay dukh sunana tha usey janay ki jaldi thei… Nahi tha waqt pas uskay kay wo sunta dastaan meri… Bara lambaa fasana tha usey janay ki jaldi thei… Bari muddat ki khuwaish thei magar piyaasa raha yaaron… Galay us ko laagana tha usey janay ki jaldi thei… Nhi thehra wo aik lamha jo raatain thehar jaata tha… Taaluq to puraanaa tha usey janay ki jaldi thei… Main faniiii rokta kaise kay ruknaa tha kahan us nay… Usey har haal janaa tha usey janay ki jaldi thei…

Mila Wo b nahi karte,

Mila Wo b nahi karte, Mila Hum b nahi karte Wafa Wo b nahi karte, Wafa Hum b nahi karte Unhein Ruswai ka Dukh, Hamein Tanhai ka Darr Gila Wo b nahi karte, Shikwa Hum b nahi karte Kisi Morr per Takrao ho jata hai aksar Ruka Wo b nahi karte, Thera Hum b nahi karte Jab b dekhte hain Unhein, Sochte hain kuch kahein unse Suna Wo b nahi karte, Kaha Hum b nahi karte Lekin! ye b Sach hai k Mohabbat Unhain b hai Izhaar Wo b nahi karte, Kaha Hum b nahi karte…

Wo Bulayen To Kya Tamasha Ho

Wo Bulayen To Kya Tamasha Ho Ham Na Jayen To Kya Tamasha Ho Ye Kinaron Se Khelne Wale Dub Jayen To Kya Tamasha Ho Bandaparwar Jo Ham Pe Guzri Hai Ham Batayen To Kya Tamasha Ho Aj Ham Bhi Teri Wafaon Par Muskurayen To Kya Tamasha Ho Teri Surat Jo Ittefaq Se Ham Bhul Jayen To Kya Tamasha Ho Waqt Ki Chand Satein ‘Sagar’ Laut Ayen To Kya Tamasha Ho…

Us nay pyaar ka kheel bhi nafrat sey kheela…

Us nay pyaar ka kheel bhi nafrat sey kheela… Har baar wo zalim meri hasrat sey kheela… Meri jaan-o-dil pay saara haq tha usey… Dukh itna hai kay wo meri gurbat sey kheela… Dil toora to bikharnay bhi na dia us nay… Merey dil kay saath kitni ulfat sey kheela… Kesay us kay haathon main barbaad na hota… Pehli baar zindagi main koi itni mohabbat sey kheela…