Kaho Woh ChanD Kaisa Tha….???

\”\”Kaho Woh ChanD Kaisa Tha….???

Kaho Woh Dusht Kaisa Tha??
Jidher Sub Kuch Lutaa Aey
Jidher Aankhain Ganwaa Aey
Kaha, SelaaB Jaisa Tha,
Buhat Chaha k Buch Niklain Mager Sub Kuch Baha Aey

Kaho, Woh Hijr Kaisa Tha??
Kabhi Choo Ker Issay DaikhA
Tou Tum Nay Kiya Bhalaa Paya
Kaha, Bus AaG Jaisa Tha,
Ussay Choo Ker Tou Apni Rooh Ye Tann Mann Jala AeY

Kaho , Woh Wasal Kaisa Tha??
Tumhay Jub Choo Liya Is Nay
Tou Kiya Ahsaas Jaga ThA?
Kaha, Ik Rastay Jaisa
Jidher Say Bus Guzarna Tha,Makaa’n Lakin Bana Aey

Kaho, Woh Chand KaisA Tha??
Falak Say Jo Uter AAya!
Tumhari Aankh May Basnay
Kaha, Woh Khwab Jaisa Tha
Nahi Tabeer Thi Jis Ki, Ussay Ik Shub Sula AeY

Kaho Woh IshQ Kaisa Tha??
Bina Sochy Bina Samjhy
Bina Purkhay Kiya Tum Nay
Kaha, Titli K Rung Jaisa
Buhat Kacha Anokha Sa, Jabhi Usko Bhula Aey

Kaho Woh Naam Kaisa Tha??
Jissay SahraOon Aur Chanchal
Hawaon Per Likha Tum Nay
kaha, Bus MusamOon Jaisa,
Na Janay Kis Trha Kis Pal Kisi Row Main Mita Aey…

Main sun k uski sub batain,

Main sun k uski sub batain,
Faqat itna hi kehta tha,
Khafa hona mana laina,
Yeh sadiyon say riwayat hay,
Gilay shikway karo mujh say,
Tumhain janan ijazat hay,
Magar ik baat meri bhi,
Tum yaad rakh laina,
Kabhi aisa bhi hota hay,
Hawa’ain rukh badalti hain,
Khata’ain ho hi jati hain,
Khafa hona bhi mumkin hay,
Khata hona bhi mumkin hay,
Hamaisha yaad rakhna tum,
Ta’aluq toot janay say,
Kabhi toota nahin kertay…

Mairay jaanay pay aey jaana’n…

Mairay jaanay pay aey jaana’n…

Paraishaa’n tum nahee’n hona…

Kabhi chhup ker nahee’n rona…

Judaaii zeher hoti hay…

Mujhay ma’loom hay laikin…

Firaaq-o-hijr ka mausam yaqeenan beet jaaey ga…

Yaqeenan wasl k lamhay…

Dobaara laut aaey’n gay…

Wohi shaamai’n, wohi raatai’n…

Wohi qissay, wohi baatai’n….

Wohi phir daastaa’n ho gi…

Mohabbat meherbaa’n ho gi…

Sitaray jo chamakte hain…

Sitaray jo chamakte hain…

kisi ki chashm-e-hairan mein

mulaqatain jo hoti hain..???

jamal-e-abr-o-baran mai..

ye na-aabad waqton mai..

dil-e-nashaad mai hongi..

Mohabbat ab nahi hogi..

Ye kuch din baad mai hogi..

Guzer jayenge jab ye din..

YE UNKI YAAD MAI HOGI…

Kabhi zindagi ka naam hai mohabbat…

Kabhi zindagi ka naam hai mohabbat…

Kabhi moat ka pegham hai mohabbat…

Kabhi mohabbat sey milti hai khushi…

Kabhi gham ki shaam hai mohabbat…

Kabhi mohabbat aansuon ki barish hai…

Kabhi hansi ka jaam hai mohabbat…

Kabhi hai mohabbat dil ki jalan…

Kabhi dil ka aaram hai mohabbat…

Kabhi mohabbat hai milan ka roop…

Kabhi tanhai ki tarhan be-naam hai mohabbat…

Kabhi mohabbat hai be-naam zindagi…

Kabhi zindagi kehti hai mera naam hai mohabbat…

Main dil sey baatain karta tha…

Main dil sey baatain karta tha…

Dil mujh sey baatain karta tha…

Main us ki sunta rehta tha…

Wo meri sunta rehta tha…

Hum dono apni baatain kartay thay…

Aur ek doojay ki baaton par…

Hum dheerey sey hanstay rehtay thay…

Main dil ka dost hi acha tha…

Dil mera dost hi acha tha…

Wo merey dard ko sehta tha…

Main us kay dard ko sehta tha…

Phir dil nay aik chaal chali…

Wo tumhari raah par chal nikla…

Ab main bhe tanha rehta hon…

Aur dil bhi tanha rehta hai…

Mili zindagi hi aisi kay zindagi bhi ro0 pari…

Mili zindagi hi aisi kay zindagi bhi ro0 pari…

Teri talash main zalim saza bhi ro0 pari…

Tujhay toot kar chaha aur itna chaha…

Kay teri wafa ki khatir wafa bhi ro0 pari…

Mera naseeb meri qismat mera muqadar banay to0…

Tujhay hi mangtay mangtay dua bhi ro0 pari…

Kitab-e-dil main tera baab ab khatam kia…

Khatam kartay kartay aey zindagi kitab bhi ro0 pari…

Usey kehna…Gilay un sey hi hotay hain

Usey kehna…

Gilay un sey hi hotay hain jo dil kay pas hotay hain…

Shikayat un sey hi hoti hai jo be-had khaas hotay hain…

Mera tum sey gila karna tumhay yunhi rula dena…

Khafa karna…

Teri taa\’eed kay badlay jafa karna…

Mohabbat ki alamat hai…

Mohabbat main kabhi har giz isay dil par nhi lena…

Usey kehma mohabbat ki tawaqo0n sey hoti hai…

Kay jin sey aaas hoti hai…

Gilay un say hi hotay hain…

Jo dil kay pas hotay hain…

Nazar sey nazar tum milanay sey pehlay…

Nazar sey nazar tum milanay sey pehlay…

Zara soch lo dil laganay sey pehlay…

Zara us kay dil main bhi tum jhank lena…

Usey raaz dil ka batanay sey pehlay…

Main yeh janta ho0n meri zindagi main…

Koi gham na terey aanay sey pehlay…

Bohat roya ho ga wo apni khata par…

Saza mujh ko gham ki sunanay sey pehlay…

Khud ro0th jata hai yeh soch lena…

Kisi dil ko itna dukhanay sey pehlay…

Kahin jal na jao khud is aag main tum…

Kisi aur ka dil jalanay sey pehlay…