Mila Wo b nahi karte,

Mila Wo b nahi karte,
Mila Hum b nahi karte
Wafa Wo b nahi karte,
Wafa Hum b nahi karte
Unhein Ruswai ka Dukh,
Hamein Tanhai ka Darr
Gila Wo b nahi karte,
Shikwa Hum b nahi karte
Kisi Morr per Takrao
ho jata hai aksar
Ruka Wo b nahi karte,
Thera Hum b nahi karte
Jab b dekhte hain Unhein,
Sochte hain kuch kahein unse
Suna Wo b nahi karte,
Kaha Hum b nahi karte
Lekin! ye b Sach hai k
Mohabbat Unhain b hai
Izhaar Wo b nahi karte,
Kaha Hum b nahi karte…

Wo Bulayen To Kya Tamasha Ho

Wo Bulayen To Kya Tamasha Ho
Ham Na Jayen To Kya Tamasha Ho

Ye Kinaron Se Khelne Wale
Dub Jayen To Kya Tamasha Ho

Bandaparwar Jo Ham Pe Guzri Hai
Ham Batayen To Kya Tamasha Ho

Aj Ham Bhi Teri Wafaon Par
Muskurayen To Kya Tamasha Ho

Teri Surat Jo Ittefaq Se Ham
Bhul Jayen To Kya Tamasha Ho

Waqt Ki Chand Satein ‘Sagar’
Laut Ayen To Kya Tamasha Ho…

Us nay pyaar ka kheel bhi nafrat sey kheela…

Us nay pyaar ka kheel bhi nafrat sey kheela…

Har baar wo zalim meri hasrat sey kheela…

Meri jaan-o-dil pay saara haq tha usey…

Dukh itna hai kay wo meri gurbat sey kheela…

Dil toora to bikharnay bhi na dia us nay…

Merey dil kay saath kitni ulfat sey kheela…

Kesay us kay haathon main barbaad na hota…

Pehli baar zindagi main koi itni mohabbat sey kheela…

Raat sunti rahi main sunata raha

Raat sunti rahi main sunata raha…
dard ki dastan main btata raha

Log logon sy chahat nibhaty rahy
Ek wo tha mera dil jalata raha

Dhop chaoon C uski tabyat rahi
Wo nigahain milata churata raha

Dil k mehman-khany main ronak rahi
koi ata raha koi jata raha

Hum-maktab ny sara sabak parh liya
Main tera nam likhta mitata raha

Ek main hi piyasa mery dosto
Log pety rahy main pelata raha…

Na Bujha chiragh-e-dayaar-e-dil,

Na Bujha chiragh-e-dayaar-e-dil,
Na Bichrne Ka Tu Malaal Kar,
Tujhe De Gi Jeene Ka Hosla,
Meri Yaad Rakh Le Sambhal Kar,
Yay Bhi Keya K Ek Hi Shakhs Ko
Kabhi Sochna,Kabhi Bhoolna,
Jo Na Bujh Sake Wo Diya Jala,Jo
Na Ho Sake Wo Kamal Kar,
Gham-e-Arzu Meri Justju, Mein
Simat Ke Aa Gaya Ru-Baru,
Yay Sukoot-e-Marg Hai Kis Liye?
Mein Jawab Doon Tu Sawal Kar,
Tu Bichhar Raha Hai To Soch Le,
Tere Hath Hai Meri Zindage,
Tujhe Rokna Meri Mot Hai,
Meri Be,basi Ka Khayal Kar…

Faasaley Nahi Mit’tey

Faasaley Nahi Mit’tey
Khawaab Aur Khawahish Mein
Neend Bharr Ki Dori Hai
Wasil Aur Judaie Mein
Ankh Bharr Ka Waqfa Hai
Hijr Ke Andheron Mein
Chand Bharr Tamana Hai
Zehan Aur Dil Mein Bhi
Soch Bharr Judaie Hai
Phir Bhi Aisa Hota Hai
Faasle Mitane Mein
Umar Beet Jati Hai
Faasle Nahi Mit’tey…

Ab kis se kahen or kon sune jo haal tumhare baad huwa

Ab kis se kahen or kon sune jo haal tumhare baad huwa

Is dil ki jheel si aankhon mein ik khuwab bohot barbad huwa

Ye hijar hawa bhi dushman hay us naam ke saare rangon ki

Wo naam jo mere honton per khushbu ki tarah aabad huwa

Us sheher ke kitne chehre thay kuch yaad nahi sab bhool gaye

Ik shakhs kitabon jesa tha wo shakhs zabani yaad huwa

Wo sab jhoote qasmein wadey thay dil jin mein khush ho jata tha

Ab is se farq nahi parta na-shaad huwa ya shaad huwa

Be-naam staish rehti thi in gehri sanwli aankhon mein

Aisa to kabhi socha bhi na tha dil ab jitna be-daad huwa…