Raat sunti rahi main sunata raha

Raat sunti rahi main sunata raha…
dard ki dastan main btata raha

Log logon sy chahat nibhaty rahy
Ek wo tha mera dil jalata raha

Dhop chaoon C uski tabyat rahi
Wo nigahain milata churata raha

Dil k mehman-khany main ronak rahi
koi ata raha koi jata raha

Hum-maktab ny sara sabak parh liya
Main tera nam likhta mitata raha

Ek main hi piyasa mery dosto
Log pety rahy main pelata raha…

Na Bujha chiragh-e-dayaar-e-dil,

Na Bujha chiragh-e-dayaar-e-dil,
Na Bichrne Ka Tu Malaal Kar,
Tujhe De Gi Jeene Ka Hosla,
Meri Yaad Rakh Le Sambhal Kar,
Yay Bhi Keya K Ek Hi Shakhs Ko
Kabhi Sochna,Kabhi Bhoolna,
Jo Na Bujh Sake Wo Diya Jala,Jo
Na Ho Sake Wo Kamal Kar,
Gham-e-Arzu Meri Justju, Mein
Simat Ke Aa Gaya Ru-Baru,
Yay Sukoot-e-Marg Hai Kis Liye?
Mein Jawab Doon Tu Sawal Kar,
Tu Bichhar Raha Hai To Soch Le,
Tere Hath Hai Meri Zindage,
Tujhe Rokna Meri Mot Hai,
Meri Be,basi Ka Khayal Kar…

Faasaley Nahi Mit’tey

Faasaley Nahi Mit’tey
Khawaab Aur Khawahish Mein
Neend Bharr Ki Dori Hai
Wasil Aur Judaie Mein
Ankh Bharr Ka Waqfa Hai
Hijr Ke Andheron Mein
Chand Bharr Tamana Hai
Zehan Aur Dil Mein Bhi
Soch Bharr Judaie Hai
Phir Bhi Aisa Hota Hai
Faasle Mitane Mein
Umar Beet Jati Hai
Faasle Nahi Mit’tey…

Ab kis se kahen or kon sune jo haal tumhare baad huwa

Ab kis se kahen or kon sune jo haal tumhare baad huwa

Is dil ki jheel si aankhon mein ik khuwab bohot barbad huwa

Ye hijar hawa bhi dushman hay us naam ke saare rangon ki

Wo naam jo mere honton per khushbu ki tarah aabad huwa

Us sheher ke kitne chehre thay kuch yaad nahi sab bhool gaye

Ik shakhs kitabon jesa tha wo shakhs zabani yaad huwa

Wo sab jhoote qasmein wadey thay dil jin mein khush ho jata tha

Ab is se farq nahi parta na-shaad huwa ya shaad huwa

Be-naam staish rehti thi in gehri sanwli aankhon mein

Aisa to kabhi socha bhi na tha dil ab jitna be-daad huwa…

Kaho Woh ChanD Kaisa Tha….???

\”\”Kaho Woh ChanD Kaisa Tha….???

Kaho Woh Dusht Kaisa Tha??
Jidher Sub Kuch Lutaa Aey
Jidher Aankhain Ganwaa Aey
Kaha, SelaaB Jaisa Tha,
Buhat Chaha k Buch Niklain Mager Sub Kuch Baha Aey

Kaho, Woh Hijr Kaisa Tha??
Kabhi Choo Ker Issay DaikhA
Tou Tum Nay Kiya Bhalaa Paya
Kaha, Bus AaG Jaisa Tha,
Ussay Choo Ker Tou Apni Rooh Ye Tann Mann Jala AeY

Kaho , Woh Wasal Kaisa Tha??
Tumhay Jub Choo Liya Is Nay
Tou Kiya Ahsaas Jaga ThA?
Kaha, Ik Rastay Jaisa
Jidher Say Bus Guzarna Tha,Makaa’n Lakin Bana Aey

Kaho, Woh Chand KaisA Tha??
Falak Say Jo Uter AAya!
Tumhari Aankh May Basnay
Kaha, Woh Khwab Jaisa Tha
Nahi Tabeer Thi Jis Ki, Ussay Ik Shub Sula AeY

Kaho Woh IshQ Kaisa Tha??
Bina Sochy Bina Samjhy
Bina Purkhay Kiya Tum Nay
Kaha, Titli K Rung Jaisa
Buhat Kacha Anokha Sa, Jabhi Usko Bhula Aey

Kaho Woh Naam Kaisa Tha??
Jissay SahraOon Aur Chanchal
Hawaon Per Likha Tum Nay
kaha, Bus MusamOon Jaisa,
Na Janay Kis Trha Kis Pal Kisi Row Main Mita Aey…

Main sun k uski sub batain,

Main sun k uski sub batain,
Faqat itna hi kehta tha,
Khafa hona mana laina,
Yeh sadiyon say riwayat hay,
Gilay shikway karo mujh say,
Tumhain janan ijazat hay,
Magar ik baat meri bhi,
Tum yaad rakh laina,
Kabhi aisa bhi hota hay,
Hawa’ain rukh badalti hain,
Khata’ain ho hi jati hain,
Khafa hona bhi mumkin hay,
Khata hona bhi mumkin hay,
Hamaisha yaad rakhna tum,
Ta’aluq toot janay say,
Kabhi toota nahin kertay…

Mairay jaanay pay aey jaana’n…

Mairay jaanay pay aey jaana’n…

Paraishaa’n tum nahee’n hona…

Kabhi chhup ker nahee’n rona…

Judaaii zeher hoti hay…

Mujhay ma’loom hay laikin…

Firaaq-o-hijr ka mausam yaqeenan beet jaaey ga…

Yaqeenan wasl k lamhay…

Dobaara laut aaey’n gay…

Wohi shaamai’n, wohi raatai’n…

Wohi qissay, wohi baatai’n….

Wohi phir daastaa’n ho gi…

Mohabbat meherbaa’n ho gi…