Yeh mousam yeh mast nazarey
Piyar karo to in se karo
Kartey hain yeh tum ko isharey
… Pyaar karo to in se karo
Ethlati yeh shokh hawayeen
Bahti nadiya chanchal dhareen
Khilti kaliyan urtey badal
Sach mano yeh sab hain tumare
Jewanbhar k hain yeh saharey
Pyaar karo to in se karo
Kahti hain rangeen bahareen
Dil main pyaar k deep jala lo
Ban jao tum meet kisi k
Aur kisi ko apna bana lo
Phuloon main hain rang tumare
Pyaar karo to in se karo

Leave a Reply