Bay-hunar zamaanay may…

Bay-hunar zamaanay may…

Raaeygaa’n safar apna…

Khauf k bayabaa’n may…

soojhhta kuch bhi nahee’n…

Bad-gumaani palti hay…

Saaeybaa’n hi jab apna…

Munharif ho chhaao’n say…

Justujoo parraao ki…

Bay-samar si lagti hay…

Bay hunar zamaanay may…

Raaeygaa’n safar apna…

SirF AiK LarKi….

SirF AiK LarKi….
Apnay Sard Kamray Main
Main Udaas Bethi Hoon
Neem-Wa-Dareechon Say
Num Hawaein Aati Hain
Merey Jism Ko Chhuu Kar
Aag See Lagati Hain
Tera Naam Ley Ley Kar
Mujhko Gudgudati Hain
Kaash Merey Parr Hotay
Terey Paass Urr Aati
Kaash Main Hawaa Hoti
Tujh Ko Chhuu Kay Laut Aaati
Main Nahi Magar Kuch Bhi…!!
Sung Dil Rawajon Kay
Aahni Hisaron Main
Umarr Qaid Ki Mulzim
Sirf Aik Larki Hoon…

Yeh mousam yeh mast nazarey

Yeh mousam yeh mast nazarey
Piyar karo to in se karo
Kartey hain yeh tum ko isharey
… Pyaar karo to in se karo
Ethlati yeh shokh hawayeen
Bahti nadiya chanchal dhareen
Khilti kaliyan urtey badal
Sach mano yeh sab hain tumare
Jewanbhar k hain yeh saharey
Pyaar karo to in se karo
Kahti hain rangeen bahareen
Dil main pyaar k deep jala lo
Ban jao tum meet kisi k
Aur kisi ko apna bana lo
Phuloon main hain rang tumare
Pyaar karo to in se karo

Aao Is “EID” Pe…

Pholon Ko Jis Trha Bhanwre Milte Hyn,

Aao Is “EID” Pe Hum B Kahin Milte Hyn,

Apni Is Chahat Ko,

Pyar Bari Rafaqat Ko,

Sachi Lagan Ka Rang Dete Hyn,

Dunia K Liye Apni Mohbat Ko Misal Krte Hyn,

Rawani K Liye Jese Darya Samandar Me Khud Ko Pamal Krte Hyn,

Phool Jese Gulshan Se Wafa Nibane Hr Bar Nikalte Hyn,
.
.
.
.
.
Aao Is EID pe Hum B Kahin Milte Hyn.

Suna tha hum ne

‘Suna tha hum ne duniya walon se
Bhula diya jata hai marne wale ko
Kuch arsa matam ke baad
Bhula kar zinda qadar dano ko ae sang dill sanam
Tum ne tu rivayat hi badal di’

Happy Birthday

Before The Clock Reach The 12

I Should Take The Opportunity

To Wish You A Brand New year

Of Your Life …!!

A Blessed Happy Birthday

SHIKWAY B HAZARON THAY OR GILAY B HAZARON THAY

Shikway B Hazaron Thay or Gilay B Hazaron Thay..
.
Hum To Usi K Thay Magr Ek Wo Na Humary Thay..
.
Kaha Hum Ne K Kisi or K Hone Lagay Ho Tum..
.
Muskratay Huwe Bolay K Pehle Kab Tumharay Thay..
.
Zindagi K Morh Pe Tanha Chor Gaya Hai Wo Mujhey..
.
Koi Ja Kar Kahay K Hum Jeety Hi Usi K Sahary Thay..
.
Ye Pal Hain Bure Mujh Pe Koi Baat Nahi..
.
Kuch Pal To Un K Sath Achay Bhi Guzaray Thay.

Hum aksar ye samjhtay hain

Hum aksar ye samjhtay hain
jisay hum piyaar kartay hain
usay hum bhool bethay hain
magar aisa nahi hota
muhabbat daaimi sach hai
muhabbat thehar jati hai
hamari baat k andar
muhabbat beth jati hai
hamari zaat k andar
magar
ye kum nahi hoti
kise bhe dukh ki sorat main
kabhi koe zarorat main
kabhi anjaan se ghum main
kabhi lehjay ki thandak main
udasi ki zarorat main
kabhi barish ki sorat main
hamari aankh k andar
kabhi aab-e-rawan bankar
kabhi qatray ki sorat main
bazaher aisa lagta hai
usay hum bhool bethay hain
magar
aisa nahi hota
magar aisa nahi hota
ye her giz kum nahi hoti
Muhabbat thehar jati hai…