Kash main terey haseen hath ka kangan hota…

To baray pyar sey chao sey baray man kay sath…

Apni nazuk si kalai main charhati mujh ko…

Aur be-tabi sey furqat kay khiza lamho0n main…

To kisi soch main doby jo ghumati mujh ko…

Main terey hath ki khushbo0 sey mehak sa jata…

Jab kabhi mo0d main aakar mujhay cho0ma karti…

Terey ho0nto0n ki main hidat sey dehak sa jata…

Rat ko jab bhi to niend kay safar main jati…

Marmarin hath ka ek takiya banaya karti…

Main terey kan sey lag kar kai batain karta…

Teri zulfon ko terey gaal ko cho0ma karta…

Mujh ko be-taab sa rakhta hai teri chahat ka nasha…

Main teri ro0h kay gulshan main mehakta rehta…

Main terey jisam kay aangan main khanakta rehta…

Kuch nhe to yeh be-naam sa bandhan hota…

Kash main terey haseen hath ka kangan hota…

Leave a Reply